Of Stars, Angels and open skies :)


Bachpan mein sikha tha,
ki taare aasman mein tim timate hain

Umar bhadi to samajh mein aaya,
ki pariyan bhi aasman par angraiya leti hain

jawaani aa gayi, umeede aasman chune lage,
mere aarman taaro ke sang jhil milane lagi,

thori si udaan, ab mujhe bhi marne do,
tim timate sitaaron ke beech,
pariyon ke sang, angraiya mujhe bhi lene do!


Alternate version:

Bachpan mein sikha tha,
ki taare aasman mein chamakte hain

Umar bhadi to samajh mein aaya,
ki pariyan bhi aasman par angraiya leti hain

jawaani aa gayi, umeede aasman chune lage,
mere aarman taaro ke sang jhil milane lagi,

thori si udaan, ab mujhe bhi marne do,
chamakte sitaaron ke beech, pariyon ke sang,
angraiya mujhe bhi lene do!

Comments

Popular Posts